Wohi Khuda hai
Koi to hai jo nizam e hasti chala raha hai wohi khuda hai dikhai bhi na day jo nazar bhi a raha hai wohi khuda hai wohi hai mashriq, wohi hai maghrib safar karain sab usi ki janib har ayney me jo aks apna dikha raha hai wohi khuda hai talash us ko na kar us ko buton me wo hai badalti hui ruton me jo din ko rat aur rat ko din bana raha hai wohi khuda hai nazar bhi rakhay, samaatain bhi woh jan laita hai niyyatain bhi jo khana-e-lashaur me jagmaga raha hai wohi khuda hai